Hindi Shayari and Latest Shayari in Hindi हिंदी शायरी -NanheYadav
Falsafa Samjho Na Asraar-e-Siyasat Samjho,
Zindagi Sirf Hakiqat Hai Hakiqat Samjho,
Jaane Kis Din Hon Hawayein Bhi Neelam Yahan,
Aaj To Saans Bhi Lete Ho Ghaneemat Samjho.
Humara Zikr Bhi Ab Jurm Ho Gaya Hai Wahan,
Dino Ki Baat Hai Mefil Ki Aabru Hum The,
Khayal Tha Ke Yeh Pathrav Rok Dein Chal Kar,
Jo Hosh Aaya Toh Dekha Lahu Lahu Hum The.
Kahin Behtar Hai Teri Ameeri Se Muflisi Meri,
Chand Sikkon Ki Khaatir Tune Kya Nahi Khoya Hai,
Mana Nahi Hai Makhmal Ka Bichhauna Mere Paas,
Par Tu Yeh Bataa Kitni Raatein Chain Se Soya Hai.
Ab Na Main Hun, Na Baaki Hai Zamane Mere,
Fir Bhi MashHoor Hain Shaharon Mein Fasane Mere,Zindagi Hai Toh Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge,
Ab Bhi Baaki Hain Kayi Dost Puraane Mere.
Jo Teer Bhi Aata Woh Khaali Nahi Jata,
Mayoos Mere Dil Se Sawali Nahi Jata,
Kaante Hi Kiya Karte Hain Phoolo Ki Hifazat,
Phoolo Ko Bachane Koi Maali Nahi Aata.
Mayoos Mere Dil Se Sawali Nahi Jata,
Kaante Hi Kiya Karte Hain Phoolo Ki Hifazat,
Phoolo Ko Bachane Koi Maali Nahi Aata.
Thank you
NanheYadav
Hindi Shayari and Latest Shayari in Hindi हिंदी शायरी -NanheYadav